Thursday, October 20, 2011

Zindagi banane ke liye ...... bahut door chala aya hun


Zindagi Banane ke liye

Ghar se door nikal aaya hun,

Sapno ko paane ki chahat mein

apno ko dor chod aaya hun,

Sukh sadhan kitne hi samet lu

Mera ghar aaj bhi yaad aata hai,

Chahu toh sari duniya ko naap lu

akhir mai maa  ke haath ka khana yaad aata hai,

Kamai ka jab koi thikana nai

toh bachpan k chillar yad aate hai,

Pardes jana tha aur chala aaya hun, `

Aab toh mera sehar mujhe yaad aata hai,

Bimar aaj jab hota hun to ilaaj toh mil jata hai

par jab dawa na kaam aati

to maa ka dular yaad aata hai,

Ab toh bas kosta hun apne aap ko ki akhir

Kya karne chala aya hun ,

Zindagi banana chahta tha main aur,

Zindagi se hi door chala aaya hun.

_____________________________

No comments:

Post a Comment